[Verse 1: Talha Anjum]
Yeah!
Tu likhe dard
Tou main aage behisaab likhu
Tu likhe sham
Main gam, gilley aur sharaab likhu
Tu guzra zamaana lage
Main tujhpe kitab likhu
Riyazi kamjor meri
Duniya ghadbadi karti hisab mein kyu?
Khuli kitaab bhi hu
Rehta hu khud mein ek raaz sa kyu?
Urdu rap ko main lazim hu
Urdu rap mein main naazil hu
Apne khwab kiye pure
Apno ki ummeede naz ka qatil hu
Apne khwab kiye pure
Khwab manjhil hai aur main ek musafir hu
Khuda ne di hai ye izzat

Kasam khuda ki main nahi tha iss layak bhi
Angrezi rappers ko sunta tha
Tooti footi jaisi bhi samajh aai thi
Mein sirf karna chahta shaayari
Meri kala lagi logo ko kahili
Maa ne har khwahish ki puri
Zarurat me bani baap bhi bhai bhi
Main likhta ni kalam se
Kahi aasuo se bikhar jaye na shaayari
Andar se hum sab udaas hai
Muskurahatein hai zahiri
Came from a broken family
Music hi mera escape tha
Mudke ab dekhta haal ajeeb tha
Ab main lakho mein ye gaane bechta
Ab main kehta hu zindagi stage si
Jo main na karu vo nahi mainstream
Main badtameez lekin mehnati
Main fans ke dil mein rahu rent free
Meri jebo mein note bhare pant ki
I only show you what you can see
Maine jaan laga di ki log mujhe jaane
Abb irritate karti attention
Mujhe khoke pe log rokey photo ke liye
Pasand nahi hai nikalna ghar se
Zimmedari se kehta hu gusse ki asal wajah
Aksar banti chars hai
Hum maslo ko dekhte hai face value pe
Nai pakar patey unhe jarr se
Main sunane baitha jo apni toh pucho ge
Kya wo dard bhi dard the par
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?