[Verse]
Koi jo mila toh mujhe aisa lagta tha
Jaise meri saari duniya mein geeto ki rut
Aur rangon ki barkha hai
Khusbu ki aandhi hai
Mehki hui si ab saari fizayein hai
Behki hui si ab saari hawayein hai
Khoi hui si ab saari dishayein hai
Badli hui si ab saari adayein hai
Jagi umangein hai, dhadak raha hai dil
Sanson mein toofaan hai
Hothon pe nagme hai, aankhon me sapne hai
Sapno me beete huye saare wo lamhe hai
Jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha, dil me samaya tha
Kaise mai batau tumhe kaisa usse paya tha
Pyaare se chehre pe bikhri jo zulfein toh aisa lagta tha
Jaise bhawre ke piche ik os me dhula hua phul khila hai
Jaise badal me ek chaand chchupa hai aur jhak raha hai
Jaise raat ke parde mein ek savera hai roshan-roshan
Aankhon mein sapno ka sagar jismein
Prem sitaro ki chadar jaise jhalak rahi hai laharo-laharo
Baat kare wo jaise moti barse
Jaise kahi chandi ki payal ghoonjein
Jaise kahi shishe ke jaam gire aur chhan se toote
Jaise koi chhip ke sitaar bajaye
Jaise koi chandani raat mein gaaye
Jaise koi haule se paas bulaye
Kaisi mithi baatein thi wo, kaisi mulakatein thi wo
Jab maine jana tha, nazron se kaise pighalte hai dil
Aur aarzoo pati hai kaise manzil
Aur kaise utarta hai chand zameen par
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai toh bas hai yahi par
Usne bataya mujhe aur samjhaya mujhe
Hum jo mile hai, humein aise hi milna tha
Gul jo khile hai, unhe aise hi khilna tha
Janmo ke bandhan, janmo ke rishte hai
Jab bhi hum janmein, toh hum yun hi milte hai
Kano me mere jaise shahad se ghulne lage
Khwaabon ke par jaise aankho me ghulne lage
Khwaabon ki duniya bhi kitni hasi, aur kaisi rangin thi
Khwaabon ki duniya jo kehne ko thi, par kahi bhi nahi thi
Khwaab jo tute mere, aankh jo khuli meri
Hosh jo aaya mujhe, maine dekha, maine jana
Woh jo kabhi aaya tha, nazron pe chaya tha, dil mein samaya tha
Ja bhi chuka hai aur dil mera hai ab tanha-tanha
Na toh koi armaan hai, na koi tamanna hai aur na koi sapna hai
Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hai
Unmein sirf aansu hai, unmein sirf dard ki
Ranj ki baate hai, aur fariyade hai
Mera ab koi nahi, main huin aur khoye huye, pyaar ki yaadein hai
Main huin aur khoye huye, pyaar ki yaadein hai

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.