Ya Khuda, jism mein, jabtak ye mere jaan rahe
Tujhpe sadke, tere mehboob pe, kurbaan rahe...
Kuch rahe ya na rahe, par ye dua hai ke Ameer
Nizaa ke waqt salaamat mera imaan rahey...
Allah ki hum, jalwagari dekh rahey hai
Ya husn-o-jamaal-e-madani dekh rahey hai
Jis waqt padho, salle-ala-ab-e-Muhammad
Samjho ke Rasul-e-Arabi dekh rahey hai..
Andheri raat hai, shamshudoha ki baat karo
Sitaaron aao, rukh-e-Mustafa ki baat karo
Na ki ro baad mein, koi dusra sawaal karo
Khudara pehle mere Mustafa ki baat karo...
Be-bandagi, urooj kiya, banda kar diya
Taara mere naseeb ka, tabinda kar diya
Itni badi huzoor ki banda-nawaaziyan
Mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya..
Is karam ka karoon shukr, kaise ada
Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya...
Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley
Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya...

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.