0
Rona Mat Maa - CHEN-K
0 0

Rona Mat Maa CHEN-K

Rona Mat Maa - CHEN-K
[Verse 1]
Pata nahi kyun loag pare peeche is faqeer ke?
Bhae "Nadir gaane banaade tu Kashmir pe"
Kyun? Kya tum logon ke margae zameer yeh?
Kyun Nadi rhi roe? Kyun hoe zaleel yeh?

Main aur tum karen jitni tehqeeq yeh..
Apni bandiyon ki nangi tasaweer pe
Us se kam bhi karoge tehqeeq
Tou be sach khara saamne nanga bezameer yeh

Ameer ya ghareeb, hame dikhta nahi?
Syaasatdaan koi bhi farishta nahi
Koi bhi mulk se kisi mulk ka rishta nahi
Hatihyar croron me bikta bhae

Dikhta nahi, yeh khel saara paison ka
Dekh jaake manzar chaaron jangon ka
Ek jesa saanwla sa rangg khaalon ka
Ek jaisa roag tha saheedon ki maaon ka..

Maaen roen, aurten jawan bewa
Burhe baap se jang cheene jwaan beta
Parhe likhе ek doosre ko galiyan den waah!!
Kе kaunsi jang Hind ya Pak jeeta!
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?