[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se

Main dar dar bhatak raha tha teri banadgi se pehle
Main dar dar bhatak raha tha teri banadgi se pehle

[Narci]
Prabhu tumse kuch bhi na chupa hai, hoti tumse hi subah hai
Kab se duniya se hoon toota, mujhe tumne hi suna hai
Mujhe tumne hi dekha hai, mujhko tumne hi padha hai
Sach bolun to duniya saari gair, mere laakhon se hai vair
Rakhe paapon pe hai pair, paapi tere main bagair
Karta aanshuon pe sair, meri maange na koi khair
Duniya lagti ye zehar
Sabse toota hoon na kisi pe bharosa hai
Ummedon ke nakhuno ne is dil bhi khaorcha hai
Fande mein saajishon ke hai apnon ne dabocha
Siva tere prabhu maine kisi ka na socha hai
Tere liye praani main, auron ka khilona hoon
Main tere aage sifar hoon, main tere aage bauna hoon
Ye log soche main to jeeta zindagi vilaas ki
Dard bade bhaari prabu main bhi chaahta rona hoon
Tera naam leke aage mera kaam dedun
Doobe kaam nahi jo main tera naam le loon
Dil pe likha Ram to main kyun hi darun doobne se?
Dil ko dil se jode, gaane bane Ram setu
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?