0
Fikar-E-Akhirat - Young Stunners (Ft. Intishaar)
0 0
Fikar-E-Akhirat - Young Stunners (Ft. Intishaar)
Talha Anjum (1st Verse):

Chahay woh tera murshid ya phir ho tera peer
Mere khuda ne likhi hai uski bhi taqdeer
Soch, isse pehley hojaye rooh tujhse juda
Teri hathon ki lakeeron mai bhi hai khuda
Kese tujhey samjhaon jab mai khud gunahgaar hoon
Jitna tera kusoor, utna hi mai kusoorwaar hoon
Akelay jana hai hum sab ne zameen k neeche
Koi bachanay nai ata, maut k baad peeche
Har daur mai khuda ne dikhayi tujhey khudai
Phir bhi gumraah, deen se le betha hai judai
Woh tou deta hai jo maango usko deney mai dikkat nai
Mere pass khud hi usse maangnay ka waqt nai
Paise ka ghuroor kiya martay hain roz ameer
Dua ka sahara lo, jo kartay hain faqeer
Dua ki taaqat dekho jo badlay taqdeer
Mai hoon gunahgaar, mere jese beshumaar
Mere aglay pichlay, sabka hi tha nasha pehla pyaar
Ab na jeet hai na haar, na aar hai na paar
Janay sе pehley tu parhley dunya sе astaghfaar
Mai phir maangoon rab se dua, mai na phir kheloon juwa
Mai na phir haaroon aur poochoon rab se mere ye kiya hua
Sun sako tou suno aur lekar dekho misaal meri
Meri haar tou haar, par jeet mai bhi haar meri
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?