Verse 1: Nabeel Akbar


Zubaan gandi par dil saaf rakhe hein shuru se
Waqt ki tangi sakht halaat bus mere guru they
Mein haske sab kuch sehta raha, qalam se dard ye behta raha mein pairon pe khara ab tk Teray bharosay
Chun raha zameen se girey huay apny tukray
22 saal ki umar mein jese buzurg mein
Mein jese banchuka hu qaidi, baalon mein agayee safaidi teri umar se ziada tabhi mere tajurbay
Sharaab se ziyada nasha bhara para ragon mein
Zindagi kese bayan kardun mein chand lafzon mein, meine chalna seekha ungli pakar k mout ki, bachpan se hee meri thee tanhayee se sirf dosti, tb se leke aajtk larta raha zamaanay se, Rozana mar mar k ab nhi darta mein marjaanay se, azaad hona chahta hu gunahon k peimaanay se
Aye khuda mein thak chuka mjhko waapis ghar aanay de
Mein ranjishon or bandishon ki zanjeeron mein phas chuka, haathon ki lakeeron ki taqdeeron se tang aachuka
Kitabon ki tehreeron mein apnay zakham chupa raha, mein kia karu ye sab mere hissay mein pehle se likha


Chorus: Umair Khan


Tootay sab sapne mere kaanch se
Roothay sab apne mere naam se
Munh pe mein kehta sab kuch saamne
Haan maante qasurwaar hum khud ko apne haal ke


Verse 2: Umair Khan
Kardu dafan mei apne khwaab kaise?
Log kahain mauseeqi haraam
Aur jhoot raah e haqq hai
Per mein, kabhi na rukkuga yeh baatain jo hain
Kardeti khokla andar se
Par hai bharosa khud pe
Idhar ghaday ghoray mei koi farq Nai
Naukri na kare jo woh mard nai
Bekhayali haath hain khali
Andheri subah hai ya hai raat saali
Khud hi khud mei khud ko kosoon
Ya dun khud ko gaali?
Aur ab wohi khaali haath leke
Raat leke betha hu band kamre mei
Bus jeene ki aik aas leke
Toota hua dil aur marre hue jazbaat leke
Larhraha mei ab tak
Bus kuch aakhri saansen hain
Khari meri maut bus kuch thore se faasle pe
Leke pichla bojh kaise chalu aagay raaste pe
Machta to hai shor par koi sunta Nai awaaz jaise
Lagay mujhay roz ke yeh din mere aakhri se
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?