[Verse 1: Jokhay]
Aisa lagay jaise rasta bhatakchuka
Aisa lagay jaise andar se marrchuka
Aisa lagay jaise khauf mujhpe taari hai
Maaf karna mujhay ke mein hu ab thakchuka
Laachari se, khud mei bezaari se
Taalta saaray kaam lagay jism jaise bhaari hai
Sabar ka yeh imtehaan de taufeeq mujhay
Najaanay kab, kaise aani meri baari hai
Zinda to hu par rehta down in a hole
Alice in chains vibe, I’m losing my soul
Duniya jaise jar aur yeh log usmei band
Gheebat inka mashghala par hai duniya yeh gol
Taras khaata khud pe dekh bebusi meri
Khwaab ki taabeeren lagti maut anqareeb meri
Uthta subah to shukar karta ae khuda tera
Jaagay na qismat aur dhalrahi umar meri
Qubool hai mujhay saari aazmaaishen
Maardi ab saari dil mei thi jo khwaahishen
Manzoor hai mujhay likha hua jo naseeb mein
Ab nahi hoti hasraton ki numaaishen
Na hain farmaayishen bus poori ho zaroorat ab
Mjhe nhi paray farq kesi dikhti ho soorat ab
Doobay ghuroor mеin insaano ka anjaam dekha
Farishta chehron k peeche chupa mеine shetaan dekha
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?