[Verse 1]
Lage ki sab sikha kar bhi na seekha
Main zindagi se haara phir bhi jeeta
Na sun paaya kuch dar mein hi tab aa kar bas phir cheekha
Bachpan se hi main ungliyo ki tarah ishaaro mein hi jeeta
Kaash
Kaash kar paata sab aapke hawale
Kaash suna paata aapko ye gaane
Bas ek aakhri dafa khudki shanti ke naam
Kaash kisi tarah suna paata aapko hi aapki awaaz
Kaash iss kaash ka zikar hi bilkul kuch na ho
Kaash aisa ek khuda ho
Jo asal mein sab sunta ho
Par woh dam bhi kya dam hai jo ghutta nahi hai
Khuda bhi hai aapki tarah woh meri sunta nahi hai
Par kab tak uday asliyat aur khudse bhaaga
Zindagi bikhre moti pirona paaya usmein dhaaga
Bas main aap se sawaal ye poochhu
Agar ye zindagi ho shaant toh aap sun chuke kya mujhse zyada
Meethe bol par koi nami na mile
Tabhi toh unki kamiyon mein kabhi kami na mile
Yahan khoon bhi bhool se hi baha par dikha uski har ek boond ki gehraaiyon mein dariya mile
Unse baat karne ka koi tareeka mile
Mujhe laga sab mere paas par sab kabhi na mile
Main apni roshni mein kaid itna zyada jab andhera dikha laga ki hum ghar hi aa gaye

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.