[Chorus]
Toh chal ab muskura dey
Ese rou kar dil halka ho ya na ho ab kia pata hai?
Zindagi ko gallay se lagalay
Ye pal beet kar nahi ayenge wapis humein ye pata hai
Mushkil hai beshak zindagi par thora sa muskura ley
[Verse 1]
Tu mujhe pareshan si lagay
Apnay he ghar may mehmaan si lagay
Parhoon tujhe tu imtehaan si lagay
Kabhi tu itni khush kay itmenaan bhi rahay
Tu khwaab dekhti hai ab kyu tol-tol kar
I know wo tera boy hai but he fucks around with others
Aur tu thak gai hai usse ye sab bol-bol kar
Tu paani peeti sharaabon mein ghol-ghol kar
Dekh baarish tu khuda ki qudrat boond-boond par
Zamana dekh ai khushiyan dhoond-dhoond kar
Tujhse baat karoon janeman mein kis umoor par
Tu khud hi ek mazmoon, ek fasana, ek ghazal
Kitaabi zameeni mein rakhoon choom-choom kar
Tu khuaab may tou nazar may nahi door-door tak
Jinko hai tu mayassar unko nahi teri qadar
Jinko nahi tu mayassar wo sirf tere muntazir
Par dil ko tum karna chhota zara bhi nahi
Ye meri iltija hai mashwara he nahi
Tujhe lagta hai tujhe sab pata hai meri jaan
Tu kitni khoobsurat tujhe ye pata he nahi
Tu jo chahay karlay tujhe rab ne di wo majaal
Tu sarr uthakay saamna kar uthein jab sawaal
Tujhme hain sab jawab karde sab ko la-jawab tu
Rab ki ek takhleeq tu rab ka hai ek kamaal tu

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.