[Verse 1: JJ47]
Duniya lagi hui eid ke mahol me
Ek hum jo teri deed ke mahol me
Kya kya likh deta hun neend ke mahol me
Mai aane ke liye raazi hun, mureed ke mahol me
Baitha rehta hun umeed ke mahol me
Tu paani tak ni puchti yazeed ke mahol me
Lage pade ab sangeet ke mahol me
Hum haarne ko raazi hai is jeet ke mahol me
Mai khud talash me mile mujh jaise log nahi
Mai ek bahar aur tu mausmo ko rok nahi
Tu ek pehar meri soch me sama hua
Mai likhun sher tujhe shaayri ka shauk nahi
Dekhu aaina toh hota hai malal mujhe
Wo mazi bane jinse puchna tha haal mujhe
Rabb ka waasta na mushkilo me daal mujhе
Soch kaidi banaye, aakar bahal mujhe
Kya kamaal mujhe, yе meri aajzi hai
Mai udu aasma pe, duniya meri kagzi hai
Tu soche baare mere munh pe anjaan bane
Mai sab jaan ke bhi chup, ye meri saadgi hai
Rakhti aage tere jo bhi murade hai
Tum bhi poori kaha ab, hum bhi tehre aadhe hai
Chand safo ki baat mukti muqate hai
Tum padhti nahi ho warna hum khuli kitaabein hai
Chize kaun si insaano se bachti hai
Doobne se dare wohi jiske paas kashti hai
Bewajah kin chizo me ulajhti hai
Aao baitho, saath piyo, weed tum pe janchti hai
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?