[Dhirendra Krishna Shastri]
Kalyug jab apni charam seema par aayega
Aisa Kalyug aayega, na maryada hogi, na behan, na bhai, na bhabhi, na bhaiya
Aisa Kalyug aayega, insaanon ki maans ki mandi lagegi
[Mahendra Kapoor]
Kitni hi baar dayanidhi ne sansar ko aake ubhar liya
Jab jab dharti par dharm ghata tab tab prabhu ne avatar liya
Karo Hari darshan, Karo Hari darshan
Karo Hari darshan, Karo Hari darshan
[Narci]
Ungli mein sudarshan dhaaran, ek hath mein shankh sada
Ek hath mein kamal tika hai, ek hath mein mere gada
Roop hazaro lekar main hi aata dharti pe
Sthapit karta neki main jab bhi dekhun paap badha
Treta mein maryada laaya, Dwapar mein updesh diya
Leela dvaara har samay mein swyam ko maine pesh kiya
Bhakto ki chinta ko maine Baikunth se dekha hai
Narsingh bhi bana hoon main, maanav ka bhi bhes liya
Dharm dabaane ka na bana ab tak waise shor koi
Paapi kaise samjhenge meri leela ka na chhor koi
Aur koi jo bhakto ke mere badhte leke haani ko
Hari bhajan hi dhaal bane, jiska hai na tod koi
Naino ke aage rehti hai karmon ki bhi jhaanki
Avagat hoon main kaun sahi hai, kaun dhara mein paapi
Leela mein sandeh karo na, sahi samay mein aaunga
Dasham roop ki leela meri dharti mein hai baaki
Vartmaan ki baat karun to jaari hai abhi pehla bhaag
Maanav sote hai maya mein, Kali gaya hai kab ka jaag
Rangmanch pe duniya ke wo naatak dekhe paapo ka
Kaam vaasna baant raha banke wo vishaila naag
Jin jin ko pehchaan Kali ki wo na faste fande mein
Bhakti ko na jaan sake jo naino waale andhe hai
Bhaav bhare virodhi ka bheetar tere dharm prati
Maan gaye to sath chalenge paap baith ke kandhe pe
Koi bhi na vairi mera, saare mere praani hai
Karta hoon sachet magar doori rakho haani se
Beete saare yugo mein paapi khud ko samjhe they nayak
Dharm bana tha nayak par meri har kahani mein
Saamne na Kali abhi roop liye wo aaya hai
Banke wo abhautik maanas mein samaaya hai
Khel raha wo man mein baithe sab bure vichaaron se
Tere andar ka maanav usne hi chabaya hai

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.