0
Just Cry No Cues - JANI
0 0

Just Cry No Cues JANI

Just Cry No Cues - JANI
Zindagi Guzar rahe the aur ab kaat rahe hein
Tum se mukhatib yeh ashar kahe hein
Sadaqatein ab Kufr lgti hein mjhe
Afsoos he k Ab is dill alam khak rahe hein

Anna k janazoun me shirkatein ker k aya houn
Me hansti mehfil me udaasian bhi bhr k laya houn
Faraghat me likhte the jo yeh ashar hum kbhi
Me sadiyon baad jaker toh kisi ko smjh aya houn

Hum Bigrhe aj hein Khamoshiyan libaas hein
Ujarhgya dill ka mohalla per tu ab bhi abaad he
Ghalat kra jo teri sohbatein me agae
Hmari qurbaton ko duniya wale Kha gae

Ankhein btati hein mudaton se soye nahi hein
Kala yun dill bеhlati he shayar ab roye kahein pеy
Utardo yeh khushmizaji ka ghilaaf tum
Kbhi sbse pehle tum the ab sabke Baad tum

Me behta darya behne dou mjhe tum khudme na sameto
Tum Jhoote munh hi kehdo k kiya ghum lagein hum hein toh
Bakhuda me btaonga her shey ko
Ek azeez mjhse kehra k rafeeq he woh mera

Ankhein nendoun ko tarsein
Hum chldein phr tere der pey
Woh Ehd e wafa ajub waswasa
Per sunke mile kyun Dilhasa brha
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?