[Verse 1: Jokhay]
Kathin safar, mili khabar
Kinare pe, wo apna ghar
Hare jakham, hai aankhe nam
Chalte rahe, ya kare sabar
Phir chal diye kandho par leke bojh
Hai aage ranjishen aur dogle log
Ke lagte hai apne ab toh paraye (Praye)
Hai aankhon me aansu, karta na koi gor
Kehta hun sach, lage sabko jhooth
Maanta na koi, mera kya kasoor
Dard hi sehte kya kisi ko kehte
Rehte zameen pe, nahi koi guroor
Kya kuch suna, kya kuch kaha
Chadar di choti mai akda raha
Ghoot'ta raha, dil dukhta raha
Kaise mai dikhta, mai chupta raha
Kaanto me simta jaise, chubhta raha
Iraade the nek par koi sunta na tha
Toh kaisi galat fehmiya mere baare
Jab bughz mai kisi se rakhta na tha
Aaye meri yaad jab, aaye mujhe maut
Meri kadar nahi thi par shayad ab hai thodi boht
Mere jaane ke baad kyun sabhi yaad rakhe mujhe
Par asliyat yahi ke kuch din ka manate ye sog
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?