[Maa Sita]- Kaun ho tum?

Janani main Ramdoot Hanuman
Janani main Ramdoot Hanuman
Charan kamal mein shat shat vandan
Kardo maa kalyaan, mila hai avsar aaj mahaan
Janani main Ramdoot Hanuman
Janani main Ramdoot Hanuman

Maate aage sar jhuka Ramdoot ka
Laangh sagar aaya vaayu ka ye put haan
Aisa din koi gaya nahi maate
Prabhu Ram ka hrdy pata aapka na poochta
Dekhi unki peeda maine, dekha hai ekaakeepan
Girte unke aansu dekhe jab bhi karte aakhein band
Hoto pe wo hasi leke peeda ko chhupaate
Aankhein unki bole maana wo to karte baatein kam
Virah ko batate wo na virah ko jatate
Karna chaahte kaabu par aansu to beh jaate
Toote mere swami mata satya bolun aapse
Virah ki wo peeda ko kisi ko na dikhaate
Peeda ki gehraai maata kaise main bataaun?
Rote dil ki dhwani ko main kaise haan sunaau?
Janaki ke bina prabhu kaise jee rahe
Vytha unki maata bolun kaise main dikhaaun? (Meri Site)
Prabhu ne uthaya tha wo dhanush pada bhaari
Ram ji ke ghar pahunchi Janak ki dulaari
Hua tha aadesh jab vano ko haan jaane ka
Janaki ne kheenchi sath jaane ki tayaari
Sone ka wo mrg aur Ravan ka wo chhal
Paaya nahi Janki ko roye Raghuvar
Leke aaya prabhu ki nishaani main to maate
De do mujhe sheesh aage jhuka mera sar
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?