0
Melancholy - Talha Anjum
0 0

Melancholy Talha Anjum

Melancholy - Talha Anjum
[Verse]
Yeah, yeah, it's your boy
Is jam e ghafeer mein meri wafao ke laiq koi tha he nai
Dastakein di bohot, dil ka dar khula he nai
Dil mein dar tha, wohi hua ke tu mila he nai
I am looking for reasons ab baaki koi waja he nai
Tu hansta nai tou kabhi dard se muskura he sahi
Koi rasta nai tou khud se rasta koi bana tou sahi
Meri wafadaar kya is puray jahaan mein khaak he rahi
Ke Janam tere baad teri mehek jo us se aati rahi
Kabhi thi ho wo shaam ke dil pe bhaari pan na ho
Ya khulay jo ankh tou tum na hum na ho
Aur baaki hain humaray beech agar sirf faaslay
Tou karu umeed ke kisi safar se duri kam na ho
Ye kaisi hai kashmakash tu kuch tou keh
Teri he intizaar mein diye jo jal ke bujhtay rahay
See now I’m a changed man
Tou waaday nai karuga tujhse mein
Tu rahi na khush jo mujhse khud se nahi hu khush bhi mein
Ab ghoomay dimagh, mitau wo chaar ashaar mein gussay me
Ab nahi rahay wo yaar tou ehtiyaat karu khud se mein
Aakhri mulaqat, phir kabhi na milsaka khudse mein
Wo tera mu pherna, mur ke chalna mustaqil
Kabhi buland bhi tha, kabhi zameen bos
Kabhi likhu he nai, aur likha tou diye kai’n dil tor
Likhay geet kuch mein ne jo louge ke zehen pe raqam kiye hain
Ab zakham dene walay se kya puchu ke kyun tu ne zakham diye hain?
Damn!
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?