[Refrain]
Tha mera chehra tera sach jab mere haath na thhe khoon se lathpath,
Hai tera chehra beeta waqt, ab khoon se likhu tujhe khat.
Har pal hai sangharsh, iss raaste ka ek hi hai antt,
Har pal hai sangharsh, iss raaste ka ek hi hai antt.
[Verse 1: GRAVITY]
Aakhon mein aakhein hoti na thhi pehle,
Roz-roz dekhu lakhon chehre.
Par teri muskaan pe ruki nazar,
Jache kalpana mai tujhpe maa ke gehne.
Jacha mera haath tere gaalon pe, tere baalon mein laga ki gum thhe saalon se.
Na bhula wafadaar, pehli mulakat,
Fir tujhse hue dur, mile saalon baad.
Dono dost bane, hosh ude baato-baat,
3 mahine baad, saath ghume haatho-haath.
Nazdeeki badh gayi, waqt khamosh tha,
Laga ki 6 saal guzre yun raato-raat.
Rishte ne liya mod, ab baatein hai kuch aur.
Din bhi hai kuch aur, yeh raatein bhi kuch aur.
Uski yaadon ko nichodke mai ghista yeh kalam,
Jo aakhon mein tha uske nahi milta kahi aur.
Mere din gaye badal, aaye baadal kaale waale,
Fir toofanein aayi aisi lagi aag woh barsaane.
Parwaane ko parwa na thhi,
Usko tha samjhana ki yeh nayi zindagi meri.
Raaton ko mai sota na, paap nashe mein dhota na.
Fir karta usse dobara, 2:12 baje raat ke jab uthi woh bagal se,
Aake kaanon mein kaha ki mera jeene ka na mann hai.
Tu hai nahi woh jisne mere saath khaayi kasmein, kya poori karni rasmein, ab adhoore mere sapne.
Tum woh thhe jo tha rakshak ab tum sabko jaake dasste.
Itna zyada zeher, hum kaise khud mein rakh le.
Ha mai jaanti bura hua hai bohot tab bane tum yeh,
Par kaato ke bin baagho ke gulab bhi na mehkenge.
Hum seh lenge akelapan jo ayega, par yeh safar yehi tak reh jayega.

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.