0
Badlaav - Gravity
0 0

Badlaav Gravity

Badlaav - Gravity
[Verse: GRAVITY]
Badli kismat, badla waqt par na badla mai
Badalta yeh junoon jaise 7 khoon ka badla yeh aur badhta yeh
Toh badhna hai, ugaani tehniya, paane fal itne saalo ke
Gandagi jo mann mai toh kya badalta daago se?
Seete dhaago se aakhon ko jo yeh na ruke
Barsaane se yeh baarish par aakhir mai yeh bhi naazuk hai
Aaj kal ki yaadon pe puraane lamhe chaabuk hai
Naseeb ke tehkhane mai badkismati ka tabud hai
Toh chala khodne kabar khudki bekhauf mai
Khudke mann ka saath, antaraatma bhi pohoch mai
Dard bhi hai mauj mai aur khushi bure waqt mai
Do pehlu mere ashk mai, hu aisa shakhs mai
Gehraai naapne se darrte mere apne
Toh tumse kya ummeed, waakhif hu mai har ek nas se
Aur yeh sangeet, yeh toh bеhta mere raqt mai
Yeh duniya lu mai jeet, yеh jahaan mera takht hai
Tabse hattke rehte sabse, likhta mai, tum panne ratte
Tabse bas ghamo mai na raha, yaha mai sarfarosh
Ab har kharoch ko taake jaa raha, na aaj, na kal ka hosh
Yeh halka hota bojh toh jaanta kya mere kal ka hona
Falsafa hai bas kamana, duniya mai badlaav hai laana
Marrke bhi mai jeena chahta. Meri kala hai mere badhte saal
Nirasha karti vaar, yeh sangeet hai meri dhaal
Par jab bhi likhte haath yeh murdo mai daale jaan, yehi hai mera gumaan
Mausam bhi badalte, na badalta mera raj
Mai sabse mahaan, khuli teesri hai aakh
Mosambi bazaar, na rangeele yaha
Inn barfeeli chattano mai hum garmi ki wajah
Rakhte hum apne kaam mai ruchi
Chaahe jitni pareshaniya, na baat betuki
Dhyan mai rishi, badalta gyaan se sthiti
Mera kar samman jaise tera atithi
Roz hai nazara jaise aakhein khuli
Kashti zindagi hai, yaha yaadein doobi
Jaha ruki kalam waha saasein ruki aur jaha jaan yeh chhuti jahaan bhi gaaye stuti
Pehle ki thhi baat jab nirasha rehti saath sada
Ab kaamyaabi ke putle pe mera haath chhapa
Gehraai khaai si, har koi na jhaank saka
Jo duniya bhule mera naam, baar-baar bata
Aar-paar lage chaar chaand toh hai raat khafa
Kala ka kaamgaar, paigaam mai laaya maut ka
Suiyan chubhti jaise totka
Tu kal ka aaya, naye kokh ka, mai toh purvajo ki khoj tha
Khudko kosta, khojta, khokhla banta jaata par na hausla deta tootne, bas taaro ko mai todta
Moud tha par muda na, banda na mai khuda ka
Uchaaiyon ko chhuta, tu bas hawa bhara gubbara
Muqaabla, na mukkala, maangu paise, dua na
Mai gunehgaar, karte jaata gunaakar
Sunaata jo na suna tha, goonjti aawaz kyuki dil pada soona tha
Khaali padi jeb thhi, aukaat ho jo kam toh yeh chhate bani ret ki
Mann ko na aaram peeth chhod jaati mez bhi!
GRAV!
Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.
Information
There are no comments yet. You can be the first!
Login Register
Log into your account
And gain new opportunities
Forgot your password?