[Verse: GRAVITY]
Ghutne rakhte gardano pe, darjone pe tear gas
Faltu ke funds, dene waalo ko hi care back
Kathputli nachane waale, bacho ko gadhate
Aakhen khol andhi janta yeh insaaf kya hi jaane?
Huuuh! Mujhe saans lene do, dum hai ghutta
Yeh hawa ka hai asar ya hai yeh khud ka?
Majdoor bewajah mare, kisaan dete jaan bebas
Bech dete sab, na mili jaan waapas maangne par
Naxalwadi nahi, usko jhootha naamdo
Khakhi waale gunde rakhte bewajah ka aakrosh
Fulon ke vyapari karte rangon mai yeh naaptol
Button harkatein, bas dabaate har ek kaand ko
Online bots aur offline gundе paale rakhte
Yeh еk mafia jo din dahaade chalte
Ilzaam inke sar pe bhaari, hote jaate halke
Yeh system in a bottle jisme neta hote halke
[Interlude]
Tum ghulam ho, isse badi koi sachai nahi hai, yeh desh sirf naam ke liye aazad hai. Tum sab itne kaid ho ki tum jo kehte ho tumhe uss cheez ke liye koi goli maardega aur woh baat 6 mahine mai dab jayegi. Jaatiwaad, samman ki raksha ke liye khoon, faasiwaad, logon ki jaan se upar khudki jeb rakhne waale inn suaron ki baaton mai mat faso, khud ki soch rakho warna tum utne hi zimmedaar ho, jitne yeh log hai
[Verse: GRAVITY]
Niyamit inki soch par hai niyam saare lapata
Khudko yeh dikhana chahte shudh, yeh na khalsa
Paise waale log rote roz khamakha
Mere log marte bhookhe, inki kismat mai na daal-bhaat
Mehengai badhi par mehenga jahaaz hai
System jo udaata aaye paise woh kahase?
Saaf paani bhi na milta rehte hum jahape
Yeh saaf kare desh? Bina koshish yeh hasade
Purana CPU, desh chalate lag hone pe bhi
Maansik experiment yahape lab hone pe bhi
Beef ban kar banaye jaate cash cow
Safed jhooth yeh paise black hone pe bhi
Har taraf ki hai galti toh fir kaun galat?
Kahaani ho ya khabar, dono mannghadat
Sarkaari aspataal hai bekaar, saare log kahe
Neta jaate private mai, paise pucho kaun bhare?

Comments (0)
The minimum comment length is 50 characters.